मैं हारा कभी नहीं (mai haara kabhii nahiin)




(Original poetry by @kaunquest)


कुदरत के फैसलों से मैं टूटा कभी नहीं
कोई जीतकर गया तो भी मैं हारा कभी नहीं

क़दमों में दम नहीं तो नहीं
कोई रहगुज़र नहीं तो नहीं
मंज़िल नहीं तो ना सही
बेनाम बे-दास्ताँ सही
बदन ये तार तार हो
हर सांस इक जंग सी हो

मेरी रूह में
फिर भी आग है
सीने में आफताब है
रगों में इक सैलाब है

कुदरत के फैसलों से मैं टूटा कभी नहीं
कोई जीतकर गया तो भी मैं हारा कभी नहीं

ज़िंदगी के ये दो पहलू हैं
ग़म है तो फिर खुशी भी है
जैसे के दिन ये रात है
ये मेरे साथ साथ है
ये जानकर चलता हूँ मैं
हर पल को पूरा जीता हूँ मैं

ये ज़मीन मेरी
आसमान मेरा
इरादों के पंख है मेरे
उम्मीदों पे मेरी उड़ान है

कुदरत के फैसलों से मैं टूटा कभी नहीं
कोई जीतकर गया तो भी मैं हारा कभी नहीं



Kudrat ke faislon se mai toota kabhii nahiin
koi jeetkar gayaa to bhi mai haara kabhii nahiin

Kadmon mein dam nahiin to nahiin
Koi rehguzar nahiin to nahiin
Manzil nahiin to na sahii
Benaam be-daastaan sahii
Badan ye taar taar ho
Har saans koi jung si ho

Meri rooh mein
phir bhi aag hai
Seene mein aaftaab hai
ragon mein ik sailaab hai

Kudrat ke faislon se mai toota kabhii nahiin
koi jeetkar gayaa to bhi mai haara kabhii nahiin

zindagii ke ye do pehloo hi to hai
gham hai to phir khushi bhi to hai 
jaise ke din ye raat hai
ye mere saath saath hai
ye jaan kar chaltaa hoon mai
har pal ko poora jeetaa hoon mai

ye zameen meri
aasmaan mera
iraadon ke pankh hai mere
ummedon pe meri udaan hai

Kudrat ke faislon se mai toota kabhii nahiin
koi jeetkar gayaa to bhi mai haara kabhii nahiin

Comments

Popular Posts