तेरी ज़ुल्फ़ों में (Teri zulfon mein)
(Original poetry by @kaunquest)
तेरी ज़ुल्फ़ों में जड़े मोती है बारिश का ये पानी
मेरे अरमान लिए आया है बूंदों में ये पानी
Mere armaan liye aayaa hai boondon mein ye paani..
Just something to fill the silence for now!
Comments
but aage aur kyu nahi likha aapne
Rubaee(quartet) paish-e-khidmat hai,
Churalya hai bondoon nay
Chuppa ek raaz seenay main
Dya hai dukh hajr ko bas
Sawaan ke mahenay nay
____________HAJR
Howa gum, ufaq say noor
Chaya ghum ka baadl
Seyahee ban ke phela hai
Teree aankh ka kajl.
______ HAJR
@farhan, aapne to is mehfil pe chaar chaand lagaa diyaa. Wah! Kisii ke gham pe aaj aasmaan ko ronaa aayaa hai..
Phir wohi saawan, phir wohi taDap,
naayaa hai andaaz aur naye alfaaz
daad kubool farmaayen