हर जंग में फ़तेह हासिल (Har jung mein fateh haasil)
(Original poetry by @kaunquest)
हर जंग में फ़तेह हासिल
नहीं जशन में ख़ुशी शामिल
शोहरत केलिए राज़ी
मुहोब्बत भी तो इक बाज़ी
तोड़ दूंगा तेरा भी दिल
मै वफ़ा के नहीं काबिल
न दोस्त न कोई साथी
दुश्मन भी न कोई बाकी
रोये तो किसी का दिल
किसी मोड़ पे हो कातिल
कहाँ चैन से सो पाया
तेरे दर पे न रो पाया
खुदा पाक नहीं ये दिल
न दे मुझे जहां कामिल
nahin jashn mein khushi shaamil
shohrat ke liye raazi
muhobbat bhi to ik baazi
toD doonga teraa bhi dil
mai wafaa ke nahin kaabil
na dost na koii saathi
dushman bhi na koii baaki
taDpe to kisii kaa dil
kisii moD pe ho kaatil
kahaan chain se so paayaa
tere dar pe na ro paayaa
khudaa paak nahin ye dil
na de mujhe jahaan kaamil
- Kaunquest
If you liked this, perhaps you will like this one too
http://kaunquest.blogspot.com/2006/11/haan-unke-lab-pe.html
Comments
na moond mod deewane ka
yehi to ek pal hai mohabbat ka
bas jata aur chale ja
yehi hai bewafayee ke raaste ka
dagar ka fikar ka mukaam ka
tu jeet jaaye ga ye jung
tu maan mera ye kehana sangdil
mere armanon ki kasam tujhe
tu bhi jeet jayega jung mein
na umeed rakh kisi qatil se
loot jaane ka naam hai mohabbat
mit jaane ka naam hai anjaam-e-mohabbat :)
CHeers buddy...
toD doonga teraa bhi dil
mai wafaa [b]ka[/b] nahin kaabil
this shd be ke dear...
amazing..I like ur poetry :)
Har jung mein fateh haasil
nahin jashn mein khushi shaamil
kahaan chain se so paayaa
tere dar pe na ro paayaa
na dost na koii saathi
dushman bhi na koii baaki
And important thing is that poem's rhythm is really nice.
NA TUM GUNGUNAO GAY
NA HUM GEET GAIN GAY
IS KHAMOSH MOHABBAT MAIN
LAMHE PHIR BEET JAIN GAY
NA TUM LO LAGAO GAY
NA HUM DEEP JALA-AIN GAY
IS WIRAN-E-SHAB MAIN
ANDHAIRAY JEET JAIN GAY
NA TUM GUNCHON KO POOJO GAY
NA HUM BULBUL SAA CHEKAIN GAY
IS UJAAR GULSHAN MAIN
BAS KAANTE HEE MEHKAIN GAY
NA TUM *KHATKHATAO GAY (*knock)
NA HUM QUFL LAGA-AIN GAY (qufl-lock)
IS MASOOM SE KHAFGEE MAIN
HUM EK-DOOJAY KO BHOOL JAA-AIN GAY
""jab bhii aankhon mein ashq bhar aaye,
log kuchh dubathe nazar aaye
muddatein ho gain sahar dekhe,
koi aahat koi Kabar aaye
chaand jitane bhii gum hue shab ke,
sabake ilzaam mere sar aaye
mujhako apnaa pataa Thikaanaa mile,
wo bhii ik baar mere ghar aaye"
mazaa deTaa hai yoon miTnaa bhi, miTaanaa bhi, kyaa kare..
Fareb ko kehte hai muhobbat, vo bhi aur hum bhi, kyaa kare..
@farhan, Thanks buddy, always a pleasure to see your comments :)
@Sujata, welcome here :) Thank u. Hope to see you around.
@alapana, a beautiful poem! Do u know who has written it? I particularly liked the 'chaand jitne bhi gum hai shab ke' line
@rambler, Hum bhi aapke shukr guzaar hai jo aap aaye aur chand lamhe yahaan bitaaye. I am not from kozhikode. Yes u r right, gazals are liked there very much.
My places are Kannur and Kochi.
Cheers
@Raman, many thanks.. is Ke, Ki, Ka ke chakkar mein bohath pareshaan hogayaa mai to :)
and welcome here.
nahin jashn mein khushi shaamil
very nice lines. and nice blog. people usually give up blogging after sometime but iam surprised to you the length of your activity on this portal.