अब क्या हिसाब रखे हम (Ab kya hisaab rakhe hum...)


अब क्या हिसाब रखे हम
जो हाथ से निकल गया..
वो वक़्त था..
तुम थी..
और मेरे ताहिर एहसास
देर से होश आया
अब सोचने से क्या

ab kya hisaab rakhe hum..
jo haath se nikal gaya,
woh waqt tha..
tum thi..
aur mere taahir ehsaas,
der se hosh aaya,
ab sochne se kya

(Original poetry by @kaunquest)

Comments

ESIH said…
wah wah..kya baat hai!
har beete yaadein,
har beete baantein,
yaad ate hai,
dard de jate hai..
muskurao un par,
ke woh to the tab,
aj gar na hua to kya..:)
Kaunquest said…
Hum jhuk kar salaam karthe hai
Mehfil aap ke naam karthe hai
:-))
Anonymous said…
Hazaaron khwaishein aisi,ki har khwaish pe dam nikle....bahut nikle mere armaan magar phir bhi kam nikle.....Ab kya soche,ab kya kare ..woh waqt ab nahi raha...an obesiance to the lost solace of dreams...deceiving dreams!
Kaunquest said…
Kay, there is an old ghazal sung by Pankaj Udhas, not sure who the shayar was. It goes like this,
waqth se waqth ki kya shikaayath kare,
waqth hi na raha, waqth ki baath hai

Popular Posts