गुलों पे चमका सबनम (Gulon pe chamka shabnam)















गुलों पे चमका सबनम के तेरे होंठ मुस्कुराये है
तेरे इन दो आँखों में बता कितने मैखाने है

हम तो शराबी पुराने है
पर इतने भी कब झूमे है
इक तेरा चेहरा देखा है
सारे जहाँ  को भूले है

ये लहराता आँचल है.. या झूमता मेरा ये दिल है
तू ने ज़ुल्फ़ जो बिखराई है.. इस दिल पे घिरता बादल है

बरसात तो कितने देखे है
पर यूं तो कभी न भीगे है
इक तेरा चेहरा देखा है
सारे जहाँ को भूले है

क्या मस्त है तेरी चाल रे.. अरे हम तो भूले राह रे
नखरे तेरे हज़ार रे.. कातिल अदाएं कमाल रे

हम तो आशिक़ दीवाने है
अब मरने को भी सोचे है
इक तेरा चेहरा देखा है
सारे जहाँ को भूले है

(Original poetry by @kaunquest)

Gulon pe chamka shabnam ke tere hont muskuraaye hain
Tere in do aankhon mein batha kithne maikhaane hai

Hum to sharaabi puraane hain
Par itne bhi kab jhoome hain
Ik tera chehraa dekhaa hain
Saare jahaan ko bhoole hain

Yeh lehraataa aanchal hain, Ya jhoomta mera yeh dil hain
Tu ne zulf jo bhikhraaye hain, Is dilpe ghirtaa baadal hain

Barsaat to kitne dekhen hain
Par yoon to kabhi naa bheege hain
Ik tera chehraa dekhaa hain
Saare jahan ko bhoole hain

Kya mast hai teri chaal re, Are hum to bhoole raah re
Nakhre there hazaar re, Kaatil adaayen kamaal re

Hum to aashiq deewaane hain
Ab marne ko bhi soche hain
Ik tera chehra dekhaa hain
Saare jahan ko bhoole hain

Photo courtesy unsplash-logoEmma

Comments

very nice lyrics ajay..I tuned half of it. will sing to you sometime.
Deeshu krishna said…
Very nice line and heart tuching

https://shrikrishna444.blogspot.com/?m=1

Popular Posts