हाँ उनके लब पे (Haan unke lab pe)
(Original poetry by @kaunquest)
हाँ उनके लब पे सदा रुकी है
ज़ुबान पे मेरा नाम रुका है
मैं चल रहा हूँ यूं धीरे धीरे
उम्मीद दिल को के वो पुकारे
वो देखते है सागर की लहरें
कभी वो दिल में भी झाँक जाते
हज़ार अरमान मचल रहे है
फिर एक तूफ़ान सा उठ रहा है
है जंग आँखों की आंसुओं से
वो दर्द-ए-दिल को छुपा रहे है
बस एक मौका वो दिल को देते
मेरी वफ़ा पे यकीन करते
haan unke lab pe sadaa rukii hai
zubaan pe meraa naam rukaa hai
mai chal rahaa hoon yoon dheere dheere
umeed dil ko ke vo pukaare
vo dekhte hai saagar ki lehren
kabhii vo dil mein bhi jhaank jaate
hazaar armaan machal rahe hain
phir ek tuufaan sa uTh rahaa hai
hai jung aankhon ki aansuoon se
vo dard-e-dil ko chupaa rahe hain
bas ek mauka vo dil ko dete
meri wafaa pe yakeen vo karte
...just another simple song! Infact, its been a while since i got around to writing.
Listen to Azam Khan's beautiful rendition of this one by clicking here ->
Haan unke lab
-Kaunquest
If you liked this, why not read this too
http://kaunquest.blogspot.com/2007/06/zindaa-rakha-ik-pyaas-ne.html
Comments
Thanks for visiting my blog. Hope to see you there again.
kya baat hai!!
Sure, will do!
@z000nie, thanks for visiting :)
" mai chal rahaa hoon yoon dheere dheere ....
umeed dil ko ke vo pukaare... "
I was very pleasantly surprised to hear a very pleasant, very familiar voice.
What can I say that I have not said before!!!!
Ye hi dua hai..aap salamat rahein aur gaate rahein..
thanks for the comment. The voice is of Azam Khan, a blogger friend. :)