बूल जाना है (Bhool jaana hai...)


Lone Red Balloon Floating High Over City Stock Video - Download ...

(Original poetry by @kaunquest)

बूल जाना है
बिखर जाना है
इक गुब्बारे की तरह हवा को आज़माना है

वक़्त के दायरों के उस पार क्या?
सोच की हद है क्या?
मेरे सवालों में मैं खुद ही कैद क्या?



bhool jaana hai 
bikhar jaana hai
ik gubbare ki tarah hawaa ko aazmaana hai..

waqt ke daayaron ke us paar kyaa?
soch ki hadh hai kya?
mere sawaalon mein mai khud hi qaid kya?

Comments

sawalia sher bohat taqatqwer hotay hain, jab shair khud say ya doosron say sawaal kart hai wo bhee sukhan main to maza doobala hojata hai,

Kuch sawal main nay bhee kye hain ghazal main,

Kya zindagee yehi hai! bus chaltay rahain yunhee?
Bhartay rahain yunhee, dhaltay rahain yunhee?

Jo zindagee say apni khaeef nahee hain hargiz (khaeef--scared)
Sansoon kee sulee pay chartay rahain yunhee

Roshnee ke kwahish kartay rahay thay jo,
Saaye say bus apnay lartay rahain yunhee

Aasee! yeh zuhd bhee mislay khizan hai (Aasee- sinner)
'Gar asyan ke sabz pattay jhartay rahian yunhee (asyan--sin) (pattay--leaves)

Hai mom say bhee nazuk qalb-e-hajr kee sakhtee (mom--wax) (qalb-e-hajr---stone's heart)
'Gar ansoown kay qatray girtay rhain yunhee. (ansoown--tears) (qatray--drops)

-------------HAJR
Arundhati said…
Isn't that what the "quest" is about, Kaun :-)?
Dawn said…
Wha sawalon ke sawalon mein ooljhe rehana....saaki ye andesha kuch thik nahi....lagta hai ...shayari ki mai pilakar hee rahenge aap...:)
umeed hai kuch aur parhne ki arzoo poori hogi yahan

daad kabool karein

Cheers
Alapana said…
Sawaalon ke bhawar mein na ghum hojana mere dost,aise hi kuch baatein hain jinke jawab naa aap ke paas hain,naa hamare paas,waqt ke saath har sawaal ka jawab milega,chalte raho raah pe,kahin to manzil milega.
Kaunquest said…
@Farhaan, sahi hai.. maine aapka ye ghazal paDa hai pehle.. Bohath umDaa ghazal hai.. enjoyed it then, and enjoyed it now once again...

@Arundhati.. The quest is on :)

@Dawn, thank u. aap jaise maikash ho to ye maikhaana roz aabaad rahe :) Aarzoo hamen bhi hai kuch nayaa likne ki, magar kyaa kare, uljhe rahte hai kaam mein aaj kal
Kaunquest said…
@Alapana, yoon hi chalte rahenge, hum bhi, aap bhi..yoon hi milte rahenge, aaj bhi, kal bhi..aur karte rahenge yoon hi sawaal jawaab :)
Anonymous said…
this is nice.
im new to hindi/urdu poetry though, but can id with this idea,
"bhool jaana hai aur bikhar jaana hai
ik gubbare ki tarah hawaa ko aazmaana hai.." :)
Kaunquest said…
@adhoc, Thanks for visiting :)

Popular Posts