हुई बे-नक़ाब (Hui be-naqaab zindagi)


(Original poetry by @kaunquest)


हुई बे-नक़ाब ज़िंदगी तो इस्ति'जाब क्यों
ख़त्म बेखुदी है अब इस्तिग़राक क्यों

मुक़द्दर पे इल्ज़ाम है खुद से नहीं गीला
दुनिया ही खराब है मैं तो हूँ भला
सोचूँ मैं बस यही जिए जाऊं इसतरहा

मुश्किल है दुश्मनी नहीं आसान दोस्ती
एहतराम न करूँ एहसान से डरूँ
ज़माने से दूर यूं तनहा ही मैं चलूँ





Hui be-naqaab zindagi to istijaab kyun
Khatm bekhudii hai, ab istighraaq kyun

muqaddar pe ilzaam hai, khud se nahin gilaa
duniyaa hi kharaab hai, mai to hoon bhalaa
sochuun mai bas yahiii, jeeye jaaoon istarah

mushkil hai dushmanii, nahin aasaan dostii
ehtraam naa karuun, ehsaan se Daruuun
zamaane se door yoon, tanhaa hi mai chaluun

- Kaunquest

If you liked this, zaraa gaur farmaaye..arz kiyaa hai - http://kaunquest.blogspot.com/2006/04/tadap-uttenge-phir-kabhi.html

************************************************
be-naqaab=unmasked
istijaab=surprise
istighraaq=engrossed/lost in thought
muqaddar=fate
ehtraam=respect
ehsaan=favour

Photo credit unsplash-logoJohn Noonan

Comments

Dawn said…
bahut khub...:) ! What surprises me is I was just talkin y'day to someone that...akele har koi jee sakta hai sath neebha ke dekho to jaane :D....
amazing lines...
Khaanaa zaad-e-zulf hai.n zanjiir se bhaage.nge kyaa
hai.n giraftaar-e-vafaa zindaa.N se ghabaraaye.nge kyaa


daad hee daad kabool farmayein :)
cheers
Kaunquest said…
:))
Hai ye dil bhi kaid unhi jazbon ke jaal mein,
koi kasar na rahii mere sitamgar ke chaal mein
Dawn said…
Woh chaal bhi kya chaal hoga
jo ke sitamgar gar itna haseen hoga ;)

Adaab

Popular Posts