फिर उस छत पे (Phir us chhat pe)

'आइये फिर उस छत पे लौट जाते है 
आमने सामने बैठ जाते है 
आपकी बातों के ज़ायके में 
फिर एक ठंडी चाय का मज़ा लेते है' 

बेनाम था वो रिश्ता
बेनाम ही वो वक़्त के साये में खो गया
अच्छा हुआ..

अच्छा हुआ.. मगर क्या पता
अगर लौट जाना मुमकिन होता
शायद उन्ही लम्हों में
उम्र गुज़ार देते हम

ये याद भी चीज़ अजीब है
किसी वक़्त.. कहीं भी..
दिल को महकाने चली आती है

जाने कौन गुज़रा आज करीब से
के सारा आलम गुलज़ार हो गया
उनकी खुशबू लिए
यादों का मौसम फिर से आगया..

जाग.. जाग दिल अभी के घर जाना है हमें


'Aayiye, phir us chhat pe lauT jaate hai, aamne saamne baiTh jaate hai
Aap ki baaton ke zaike mein, phir se ek TtanDi chaai ka maza lete hai'

Benaam tha vo rista,
benaam hi vo waqth ke saaye mein kho gaya... Achaa hua
Achaa hua...magar, kya pata,
Agar LauT jaana mumkin hota,
shaayad unhi lamhon mein umr guzaar dete hum

...Ye yaad bhi cheez ajeeb hai,
kisi waqt, kahin bhi dil ko mehkaane chali aati hai
jaane kaun guzraa aaj kareeb se,
ke saara aalam gulzaar hogaya,
unki khushboo liye yaadon ka mausam phir se aagaya.

Jaag, jaag dil abhi ke Ghar jaana hai hamen...

Comments

Arti Honrao said…
"aane kaun guzraa aaj kareeb se,
ke saara aalam gulzaar hogaya,"

Beautiful!

Arti

Popular Posts